Woh banjar khet ke hissey ka paani bech deta hai kabhi dariya kabhi uss ki rawaani bech deta hai


Woh banjar khet ke hissey ka paani bech deta hai
kabhi dariya kabhi uss ki rawaani bech deta hai

Kisi bhi mantiqi anjaam tak jaane nahin deta
kisi kirdaar se mil kar kahaani bech deta hai

Kisi taaza mohabbat ki kharidaari ki khaatir woh
kisi pichhli mohabbat ki nishaani bech deta hai

Koi tehreer bhi paaband kar sakti nahin uss ko
woh dastaawez ko bhi munh-zubaani bech deta hai

Usey tabdeel hone mein zara sa waqt lagta hai,
nayi poshaak milte hi puraani bech deta hai...!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo