Jin pr sitam tamaam qafas ki fizaa k the Mujrim wo log apni shikast-e-anaa k the


Jin pr sitam tamaam qafas ki fizaa k the

Mujrim wo log apni shikast-e-anaa k the

Ae dasht-e-khaar hmse hisaab-e-karam na maang

Paao'n me aabley the,, mgr ibtedaa k the

Lab pe sajaa liye the yunhii ajnabii se naam

Dil me tamaam zakhm kisi aashna k the

Patto'n se bhar rhe the hawaao'n ki jholiyaa'n

Girte hue shajar bhi sakhii intehaa k the

Gehre samandaro'n me kahan akss-e-aasmaa'n

Paanii me jitne rang the,, saare khalaa k the

Ab dhool odhna bhi mayassar nhii jinhe

Waaris wo ahl-e-dil kbhii arzz-o-samaa k the

Jinse ulajh rhi thee'n hawaao'n ki shorishe'n

MOHSIN wo daayre to mere naqsh-e-paa k the...!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo