Kary safar mein agar rasta badalna tha To ibteda mein mery sath hi nah chalna tha


Kary safar mein agar rasta badalna tha

To ibteda mein mery sath hi nah chalna tha

Kuch is liy bhi to sooraj zameen pe utra hai

Pahareyon pe jami barf ko pighalna tha

Utar ke dil mein lahoo zehr kar gya akhir 

Woh sanp jis ko meri aasteen mein palna tha

Yeh kya keh tohmaten atish fishan ke sar aaen

Zameen ko khud bhi khazana kabhi ugalna tha

Main laghzashon se atty raston pe chal nikla

Tujy ganwa ke mujy phir kahan sanbhalna tha

Ajab naseeb tha Muhsin keh baad marg mujy

Charagh ban ke khud apni lehd mein jalna tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo