Hos Ke Naam Pe Ye Zalim Samaj Mangy Hai Mere Badan Se Lahoo Ka Khiraj Mangy Hai


ہوس کے نام پہ ظالم سماج مانگے ہے
مرے بدن سے لہو کا خراج مانگے ہے
مری زبان کو تم کاٹ کیوں نہیں دیتے
تمہارے عہد میں تم سے اناج مانگے ہے
مکان قرق، زمیں ضبط، فصل پر ڈگری
یہ قرض خواہ ابھی مجھ سے بیاج مانگے ہے
چمن پرست نگاہیں چمن بدر ہیں سبھی
کلی کلی کا بدن سامراج مانگے ہے
حصارِ شہر کی اینٹیں اُکھاڑ کے رکھ دو
کُھلی فضا مرا سرکش مزاج مانگے ہے
جو کھیلتا ہی رہا عمر بھر کھلونوں سے
وہ ضدّی طفل بھی اب تخت و تاج مانگے ہے
بخش لائلپوری

Hos Ke Naam Pe Ye Zalim Samaj Mangy Hai

Mere Badan Se Lahoo Ka Khiraj Mangy Hai

Meri Zubaan Ko Tum Kaat Kion Nahi Dete

Tumhare Ehd Mein Tum Se Anaj Mangy Hai

Makaan Qarq,Zameen Zabt,Fasal Par Degree

Ye Qarz-Khuwa Abhi Mujh Se Biyaaj Mangy Hai

Chaman Parast Nigahein Chaman Badar Hain Sabhi

Kali Kali Ka Badan Saamraj Mangy Hai

Hisaar-e-Shehr Ki Entein Ukhad Ke Rakh Do

Khuli Fiza Mera Sar-Kash Mizaaj Mangy Hai

Jo Khelta Hi Raha Umar Bhar Khilono Se

Wo Ziddi Tifal Bhi Ab Takht-o-Taj Mangy Hai

Bakhsh Lailpuri


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo