Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya Hamein Yousaf Ka Safar Yaad Aaya


دشت کو دیکھ کے گھر یاد آیا
ہمیں یوسف کا سفر یاد آیا

میں نے تلوار پہ سر رکھا تھا
یعنی تلوار سے سر یاد آیا

وہ تری کم سخنی تھی کہ مجھے
بات کرنے کا ہنر یاد آیا

اے زمانے مرے پہلو میں ٹھہر
پھر سلامِ پسِ در یاد آیا

کسے اڑتے ہوئے دیکھا کہ تمہیں
اپنا ٹوٹا ہوا پر یاد آیا

آج میں خود سے ملا ہوں طالب
آج بھولا ہوا گھر یاد آیا

طالب جوہری

Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya

Hamein Yousaf Ka Safar Yaad Aaya

Main Ne Talwar Pe Sar Rakha Tha

Ya'ani Talwar Se Sar Yaad Aaya

Wo Teri Kam Sukhani Thi Keh Mujhe

Baat Karne Ka Hunar Yaad Aaya

Aey Zamane Mere Pehlo Mein Theher

Phir Salam-e-Pas-e-Dar Yaad Aaya

Kise Udte Hoe Dekha Keh Tumhein

Apna Toota Hoa Par Yaad Aaya

Aaj Main Khud Se Mila Hon Talib

Aaj Bhoola Hoa Ghar Yaad Aaya

Talib Johari


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo