Yahan se jald guzar jaao qaafile waalo hain meri pyaas ke phoonke hue ye veeraane


Yahan se jald guzar jaao qaafile waalo
hain meri pyaas ke phoonke hue ye veeraane
Meri junoon-e-parastish se tang aa gaye log
suna hai band kiye jaa rahe hain buut-khaane
Jahan se pichhle pehar koi tishna-kaam utha
wahin pe tode hain yaaron ne aaj paimaane
Bahaar aaye toh mera salaam keh dena
mujhe toh aaj talab kar liya hai sehra ne
Hua hai hukm ki "kaifi" ko sangsaar karo
maseeh baithe hain chhup ke kahaan khuda jaane
Kaifi Azmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo