Aagayi yaad sham dhaltay hi Bujh gia dil chiragh jaltay hi



آگئی یاد شام ڈھلتے ھی
بجھ گیا دِل چراغ جلتے ھی
کُھل گئے شہرِ غم کے دروازے
اِک ذرا سی ھوا کے چلتے ھی
کون تھا تُو کہ پھر نہ دیکھا تُجھے ؟؟
مِٹ گیا خواب آنکھ ملتے ھی
خوف آتا ھے اپنے ھی گھر سے
ماہِ شب تاب کے نکلتے ھی
تُو بھی جیسے بدل سا جاتا ھے
عکسِ دیوار کے بدلتے ھی
خون سا لگ گیا ھے ھاتھوں میں
چڑھ گیا زھر ، گل مسلتے ھی
منیر نیازی
ماہِ منیر سے انتخاب

Aagayi yaad sham dhaltay hi
Bujh gia dil chiragh jaltay hi
Khul gaye shaher-e-gham ke derwazay
Aik zara se hawa ke chaltay hi
Kon tha tu keh phir na daikha tujhay ?
Mit gaya khuwaab ankh maltay hi
Khoof aata hai apnay hi ghar se
Mah-e-shab-e-taab ke nikaltay hi
Tuu bhi jaisa badal sa jata hai
Aks deewar ke badaltay hi
Khoon sa lag gia hai hathon mein
Charh gia zahr , gul masaltay hi
Muneer Niazi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo