Aashiya jal gaya gulsitan lut gaya Hum qafas se nikal kar kidhr jaenge



Aashiya jal gaya gulsitan lut gaya
Hum qafas se nikal kar kidhr jaenge

Itne manoos sayyad se ho gaye
Ab rihai milegi to mar jaenge

E naseeme sahar tujhko unki qasam
Unse jaakar na kehna mera haale gham

Apne mitne ka gham to nahi hai magar
Dar ye hai unke gesu bikhar jaenge

Or kuch din ye dastoore meykhana hai
Tashangi ke ye din bhi guzar jaenge

Mere saaqi ko nazren uthane to do
Jitne khali hain sab jaam bhar jaenge

Ashqe gham le ke aakhir kaha jaaen hum
Aansuo ki yaha koi qeemat nahi

Aap hi apna daman badha dijiye
Warna moti zamee par bikhar jaenge

Kaale kaale wo gesu shikan dar shikan
Wo tabassum ka Aalam chaman dar chaman

Kheench li unki tasveer dil ne mere
Ab wo daman bacha kar kidhar jaenge

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo