Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hon Magar teray baad hosla hai keh jee raha hon



Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hon

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo