Wo Khat Ke Purze Uda Raha Tha
Hawaon Ka Rukh Dikha Raha Tha
Bataon Kaise Wo Bahta Dariya
Jab Aa Raha Tha Tou Ja Raha Tha
Kuchh Aur Bhi Ho Gaya Numaan
Main Apna Lekkha Mita Raha Tha
Dhuan Dhuan Ho Gai Theen Aankhein
Charaagh Ko Jab Bujha Raha Tha
Mandir Se Jhuk Ke Chand Kal Bhi
Padosion Ko Jaga Raha Tha
Usi Ka Imaan Badal Gaya Hai
Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha
Wo Aik Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha
Wo Umar Kam Kar Raha Tha Meri
Main Saal Apne Badha Raha Tha
Khuda Ki Shayad Raza Ho Iss Mein
Tumhara Jo Faisla Raha Tha
Gulzar
No comments:
Post a Comment