Aur ab ye sochta hoon kiya tah-e-damaan parde rehna
Kisi mashaal ki lo thehroon, hawa mai dol kar dekhoon
Yunhi shayed tasalli ho meri khasta Mizaji ki
Main apni Khak hi koo-e-Hunar men rol kar dekhoon
Mere bhi sar pe rakha hai junoo'n asbaab ki soorat
Mile fursat to iss ghatrdi ko main bhi khol kar dekhoon

No comments:
Post a Comment