Jo dil ka raaz be aah o fugan kehna hi padta hai To phir apne qafas ko aashiyan kehna hi padta hai



جو دل کا راز بے آہ و فغاں کہنا ہی پڑتا ہے
تو پھر اپنے قفس کو آشیاں کہنا ہی پڑتا ہے

تجھے اے طائر شاخ نشیمن کیا خبر اس کی
کبھی صیاد کو بھی باغباں کہنا ہی پڑتا ہے

نہ پوچھو کیا گزرتی ہے دل خوددار پر اکثر
کسی بے مہر کو جب مہرباں کہنا ہی پڑتا ہے

Jo dil ka raaz be aah o fugan kehna hi padta hai
To phir apne qafas ko aashiyan kehna hi padta hai

Tujhe ai tayar e shaakh e nasheman kya khabar is ki
Kabhi sayyad ko bhi bagban kehna hi padta hai
 
Na poochho kya guzarti hai, dil e khuddar par aksar
Kisi be-mehar ko jab meherban, kehna hi padta hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo