Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de
Ye chiragh phir bhi chiragh hai kahi'n tera haath na jala na de

Naye daur ke naye khwab hein naye mausam'on ke gulaab Hain
Ye mohabbat'on ke chiragh Hain inhe'n nafrat'on ki hawa na de

Zara dekh chand ki pattiyon me bikhar bikhar ke tamam shab
Tira naam likkha hai ret par koi leher aake mita na de
Main udaasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jan ke mazaar par
Na diye jale'n miri aankh mein mujhe itni sakht saza na de
Mere saath chaIne ke shauq mein badi dhoop sar pe uthayega
Tira naak naqhsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de
Main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karun
Meri saltanat mera fun rahe mujhe taj-o-takht khuda na de
Dr Bashir Badar

No comments:
Post a Comment