Nafas nafas hai bashrat nazar nazar hai pyam Magar qarar yahan bhi nahin wahan bhi nahin


Image may contain: text

Nafas nafas hai bashrat nazar nazar hai pyam
Magar qarar yahan bhi nahin wahan bhi nahin
Lahu chhidak’te ra’he hum qafas se gulshan tak
Magar bahar yahan bhi nahin wahan bhi nahin
Jissai mazaq e muhabbat ki aabroo kah’ee’ye
Woh aetebar yahan bhi nahin wahan bhi nahin
Zameen pe hen gul o lala falak pe mah’ o najoom
Mera shumar yahan bhi nahin wahan bhi nahin
Qabil Ajmeri.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo