Dar e qafas se paray, jb saba guzarti ha Kisay khabar, k aseeron pe kia guzarti ha



Dar e qafas se paray, jb saba guzarti ha
Kisay khabar, k aseeron pe kia guzarti ha

Ta'alloqat kabhi isqadar na tootay thay
K teri yad bhi, ho k khafa guzarti ha

Wo ab milay bhi, to milta ha istrah jesay
Bujhay charagh ko choo kr hawa guzarti ha

Ye aehl e hijr ki basti ha, ehtyat se chal
Museebaton ki yehan, inteha guzarti ha

Na pooch apni ana ki bagawaten Mohsin
Dar e qaboolyat se bch kr, dua guzarti ha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo