Har ik hazar mai'n bas panch , saat hai'n hum log Nisab e ishq pe wajib zakat hai'n hum log



ہر اک ہزار میں بس پانچ، سات ہیں ہم لوگ
نصابِ عشق پہ واجب زکوۃ ہیں ہم لوگ
دباؤ میں بھی جماعت کبھی نہیں بدلی
شروع دن سے محبت کے ساتھ ہیں ہم لوگ
یہ انتظار ہمیں دیکھ کر بنایا گیا
ظہورِ ہجر سے پہلے کی بات ہیں ہم لوگ
ہمیں جلا کے کوئی شب گزار سکتا ہے
سڑک پہ بکھرے ہوئے کاغذات ہیں ہم لوگ
******************************
Har ik hazar mai'n bas panch , saat hai'n hum log
Nisab e ishq pe wajib zakat hai'n hum log
Dabao mai'n bhi jamaat kabhi nahi badli
Shuru din se muhabbat ke saath hai'n hum log
Ye intazar humain dekh kar banaya gaya
Zahoor e hijar se pehle ki baat hai'n hum log
Humain jala ke koi shab guzar skta hai
Sarak pe bikhre hua kaghzaat hai'n hum log

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo