Mere ham nafas, mere ham nawa, mujhe dost banake daga na de main hun dard e ishq se janwalab, mujhe zindagi ki dua na de



Mere ham nafas, mere ham nawa, mujhe dost banake daga na de
main hun dard e ishq se janwalab, mujhe zindagi ki dua na de

Mere dag e dil se hai raushani, usi raushani se hai zindagi
mujhe Dar hai aye mere charagar, ye charag tu hi bujha na de

Mujhe chor de mere hal par, tera kya bharosa hai charagar
ye teri nawazish e mukhtasar, mera dard aur bara na de

Mera azm itana baland hai ke paraye sholon ka Dar nahi
mujhe Khauf atish e gul se hai, ye kahin chaman ko jala na de

Wo uthe hain leke hom o subu, arey o `Shakeel` kahan hai tu
tera jam lene ko bazm may koi aur hath barha na de

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo