Safar Tanha Nahi Karte Suno Aisa Nahi Karte Jise Shafaaf Rakhna Ho Usey Mela Nahi Karte



Safar Tanha Nahi Karte
Suno Aisa Nahi Karte
Jise Shafaaf Rakhna Ho
Usey Mela Nahi Karte
Bohat Ujre Howe Ghar Par
Bohat Socha Nahi Karte
Safar Jiska Muqadar Ho
Usey Roka Nahi Karte
Jo Mil Kar Khud Se Kho Jae
Usey Ruswa Nahi Karte
Teri Aankhen Ijazat Dein
To Ham Kya Kya Nahi Karte
Chalo Tum Raaz Ho Apna
Tumhein Afsha Nahi Karte
Jo Dhun Ho Kar Guzarne Ki
To Phir Socha Nahi Karte
Kabhi Hansne Se Darte Hain
Kabhi Roya Nahi Karte
Teri Aankhon Ko Parhte Hain
Tujhe Dekha Nahi Karte
Ye Onchey Pair Kese Hain
Kahein Saya Nahi Karte
Sahar Se Pooch Lo "Mohsin"
Ke Hum Soya Nahi Karte

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo