Tum jo pal bhar ko thaher jao to ye lamhay aanay walay kai lamhon ki amanat ho jaen tum jo thaher jao to ye raat,ye mahtab ye sabza,ye gulaab,aur hm dono k khawb sb k sb aesay mubhim hon,k haqeeqat ho jaen tum thaher jao k,unwan ki tafseer ho tum tum se talkhi e auqat ka mosam badlay raat to kia badlay gi,halaat to kia badlen gay tum jo thaher jao,to meri zaat ka mosam badlay mehaban ho k na thehro,to phir yun thahro jasay pl bhr koi khawb e tamana thahray jasay darwesh madah nosh k pyalay main kabhi ek do pl k liae talkhi e dunya thahray thaher jao k madaraat k mae khanay se chaltay chaltay koi ek aadh suboo ho jae is se pahlay k koi lamha e aainda ka teer istarah aae k pawast e guloo ho jae