Har Haqeeqat Se Alag Aur Fsaanon Se Parey Muntazir Hoon Main Tera Saarey Zmaanon Se Parey



ھر حقیقت سے الگ اور فسانوں سے پرے
مُنتظر ھُوں مَیں ترا سارے زمانوں سے پرے
پھر مَیں اک روز بڑی گہری اُداسی سے ملا
بستیوں کے سبھی آباد مکانوں سے پرے !
نہ زماں ھو نہ مکاں ھو نہ خلا ھو نہ خُدا
صرف ھم تُم ھوں کہیں سارے جہانوں سے پرے
عکس در عکس رُلاتی تھیں مُجھے جو آنکھیں
چھوڑ آیا ھُوں اُنہیں آئنہ خانوں سے پرے
خواب دیکھا ھے، دُعا کر کہ یہ جُھوٹا نکلے
مَیں کہیں اشک فشاں تھا ترے شانوں سے پرے
رونے دھونے کے لیے ھم نے بنایا ھُوا ھے
اک ٹھکانہ سبھی معلُوم ٹھکانوں سے پرے
مَیں دعاؤں میں بھی کرتا ھُوں ترے نام کا ورد
تُو نہیں ھے مری تسبیح کے دانوں سے پرے
میرے رونے سے خفا ھو کے وہ بولا، فارس !
اپنی چیخوں کو تُو لے جا مرے کانوں سے پرے
رحمان فارس

Har Haqeeqat Se Alag Aur Fsaanon Se Parey
Muntazir Hoon Main Tera Saarey Zmaanon Se Parey
Phir Main Ik Roz Baree Gehri Udaasi Se Mila
Bastiyon Ke Sabhi Aabaad Makaanon Se Parey
Na Zamaan Ho Na Makaan Ho Na Khlaa Ho Na Khuda
Sirf Ham Tum Hon Kahin Saarey Jahaanon Se Parey
Aks Dar Aks Rulaati Thein Mujhe Jo Aankhein
Chhor Aaya Hoon Unhein Aaina-Khaanon Se Parey
Khwaab Dekha Hai Duaa Kar K Yeh Jhoota Nikley
Main Kahin Ashk-Fshaan Tha Tere Shaanon Se Parey
Roney Dhoney K Liey Ham Ne Banaaya Hua Hai
Ik Thikaana Sabhi Maaloom Thikaanon Se Parey
Main Duaaon Mein Bhi Karta Hoon Tere Naam Ka Wird
Tuu Nahin Hai Meri Tasbeeh K Daanon Se Parey
Mere Roney Se Khafa Ho Key Wo Bola, Faris
Apni Cheekhon Ko Tu Le Jaa Mere Kaanon Se Parey
Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha