Kafir e ishq ko kya se kya kar diya But parasti ne Haq aashna kar diya


Image may contain: one or more people

Kafir e ishq ko kya se kya kar diya
But parasti ne Haq aashna kar diya
Koi dekhe haqeeqat mere kufar ki
Main ne jis but ko pooja Khuda kar diya
Dekhne wale kaaba samajhne lage
Kitna roshan tera naqsh e pa kar diya
But parasti mein ki main ne wo bandagi
But kade ko hi qibla numa kar diya
Aye FANA meri mayyat pe kaihte hain wo
Aap ne apna wada wafa kar diya

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai