Tum jo pal bhar ko thaher jao to ye lamhay aanay walay kai lamhon ki amanat ho jaen



Tum jo pal bhar ko thaher jao to ye lamhay
aanay walay kai lamhon ki amanat ho jaen
tum jo thaher jao to ye raat,ye mahtab
ye sabza,ye gulaab,aur hm dono k khawb
sb k sb aesay mubhim hon,k haqeeqat ho jaen
tum thaher jao k,unwan ki tafseer ho tum
tum se talkhi e auqat ka mosam badlay
raat to kia badlay gi,halaat to kia badlen gay
tum jo thaher jao,to meri zaat ka mosam badlay
mehaban ho k na thehro,to phir yun thahro
jasay pl bhr koi khawb e tamana thahray
jasay darwesh madah nosh k pyalay main kabhi
ek do pl k liae talkhi e dunya thahray
thaher jao k madaraat k mae khanay se
chaltay chaltay koi ek aadh suboo ho jae
is se pahlay k koi lamha e aainda ka teer
istarah aae k pawast e guloo ho jae

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha