Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat na hoti
khayaalon ki rangeen jannat na hoti
khayaalon ki rangeen jannat na hoti
Sitaaron ke Dilkash Fasaane na hote
Bahaaron ki naazuk haqeeqat na hoti
Bahaaron ki naazuk haqeeqat na hoti
Jabeenon pe Noor-e-Masarrat na hota
Nigaahon mein Shaan-e-marrawwat na hoti
Nigaahon mein Shaan-e-marrawwat na hoti
Ghataaon ki Aamad ko Saawan taraste
Fizaaon mein Behki Baghaawat na hoti
Fizaaon mein Behki Baghaawat na hoti
Faqeeron ko Irfaan-e-Hasti na milti
Ataa Zahidon ko ibaadat na hoti
Ataa Zahidon ko ibaadat na hoti
Musaafir sadaa manzilon par bhatakte
Safeenon ko saahil ki qurbat na hoti
Safeenon ko saahil ki qurbat na hoti
Har ik phool ka rang pheeka sa hota
Naseem-e-bahaaraan mein nikhat na hoti
Naseem-e-bahaaraan mein nikhat na hoti
Khudaayi ka Insaaf Khaamosh rehta
Sunaa hai kisi ki shifa'at na hoti
Sunaa hai kisi ki shifa'at na hoti
No comments:
Post a Comment