BER TARF KAR K TAKULLUF EK TARF HO JAEYE MUSTAQIL MIL JAEAY YA MUSTAQIL KHO JAEYE



برطرف کرکے تکلّف اک طرف ہوجائیے
مستقل مل جائیے یا مستقل کھو جائیے
کیا گلے شکوے، کہ کس نے کس کی دلداری نہ کی
فیصلہ کرہی لیا ہے آپ نے، تو جائیے
میری پلکیں بھی بہت بوجھل ہیں گہری نیند سے
رات کافی ہوچکی ہے، آپ بھی سوجائیے
آپ سے اب کیا چھپانا،آپ کوئی غیر ہیں
ہو چکا ہوں میں کسی کا، آپ بھی ہو جائیے
موت کی آغوش میں گِریہ کُناں ہے زندگی
آئیے، دو چار آنسو آپ بھی رو جائیے
شاعری کارِ جنوں ہے، آپ کے بس کی نہیں
وقت پر بستر سے اُٹھئے، وقت پر سو جائیے

BER TARF KAR K TAKULLUF EK TARF HO JAEYE
MUSTAQIL MIL JAEAY YA MUSTAQIL KHO JAEYE
KIA GILAY SHIKWAY K KIS NY KIS KI DILDARI NA KI
FAISLA KAR HI LYA HAI AAP NY , TOU JAEYE
MERI PALKEEN BHI BOHAT BOJHAL HEIN GEHRI NEEND SY
RAAT KAFI HO CHUKI HAI AAP BHI SO JAEYE
AAP SY AB KIA CHUPANA, AAP KOI GHAIR HEIN
HO CHUKA HOON MAIN KISI KA AAP BHI HO JAEYE
MOUT KI AAGHOSH MEIN GIRYA KUNA HAI ZINDAGI
AAYEAYE DO CHAAR AANSOO AAP BHI RO JAYEYE
SHAIRI KAAR E JUNOON HAI, AAP K BUS KI NAHI
WAQAT PAR BISTER SY UTHEYAYE WAQAT PAR SO JAEYAYE

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo