Dayar e Noor Mein Tera Shabon Ka Saathi Ho Koi Toh Ho Jo Meri Wahshaton Ka Saathi Ho



دیار نور میں تیرہ شبوں کا ساتھی ہو
کوئی تو ہو جو مری وحشتوں کا ساتھی ہو

میں اس سے جھوٹ بھی بولوں تو مجھ سے سچ بولے
مرے مزاج کے سب موسموں کا ساتھی ہو

میں اس کے ہاتھ نہ آؤں وہ میرا ہو کے رہے
میں گر پڑوں تو مری پستیوں کا ساتھی ہو

وہ میرے نام کی نسبت سے معتبر ٹھہرے
گلی گلی مری رسوائیوں کا ساتھی ہو

کرے کلام جو مجھ سے تو میرے لہجے میں
میں چپ رہوں تو میرے تیوروں کا ساتھی ہو

میں اپنے آپ کو دیکھوں وہ مجھ کو دیکھے جائے
وہ میرے نفس کی گمراہیوں کا ساتھی ہو

وہ خواب دیکھے تو دیکھے مرے حوالے سے
مرے خیال کے سب منظروں کا ساتھی ہو

Dayar e Noor Mein Tera Shabon Ka Saathi Ho
Koi Toh Ho Jo Meri Wahshaton Ka Saathi Ho

Main Us Se Jhoot Bhi Bolon Toh Mujh Se Sach Bole
Mere Mizaaj Ke Sab Mausamon Ka Saathi Ho

Main Us Ke Haath Na Aaoun Woh Mera Ho Ke Rahe
Main Gir Padon Toh Meri Pastiyon Ka Saathi Ho

Woh Mere Naam Ki Nisbat Se Moatabar Thehre
Gali Gali Meri Ruswaiyon Ka Saathi Ho

Kare Kalaam Jo Mujh Se Toh Mere Lehje Mein
Main Chup Rahon Toh Mere Tevaron Ka Saathi Ho

Main Apne Aap Ko Dekhon Woh Mujh Ko Dekhe Jaae
Woh Mere Nafs Ki Gumrahiyon Ka Saathi Ho

Woh Khuwaab Dekhe Toh Dekhe Mere Hawale Se
Mere Khayaal Ke Sab Manzaron Ka Saathi Ho

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo