gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya woh
ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya woh
khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam
woh bo-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya woh
woh maikade ko jaganewala woh raat ki neend udanewala
na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya woh
kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi
jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya woh
shikastapa rah mein khada hon gaye dinon ko bula raha hon
jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya woh
bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki
yehi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya woh
wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka
teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya woh
wo hijar ki raat ka sitara woh hamnafas hamsukhan hamara
sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya woh
bas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ki aaya barang-e-khayal-e-sahar gaya woh
na ab woh yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkha
yun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya woh
woh raat ka benawa musafir woh tera shayar woh tera Nasir
teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya woh

No comments:
Post a Comment