Jo Hum Pe Guzri Hai Janaa Tumhein Bataein Kiya Ye Dil Tou Toot Gaya Hum Bhi Toot Jaein Kiya



Jo Hum Pe Guzri Hai Janaa Tumhein Bataein Kiya
Ye Dil Tou Toot Gaya Hum Bhi Toot Jaein Kiya

Chiraagh Hone Ki Milti Hain Ye Sazaein Kiya
Bujha Ke Maneingi Humko Bhi Ye Hawaein Kiya

Hamare Chharon Taraf Hadsey Hoe Lekin
Humein Bachhati Hain Maa Baap Ki Duaein Kiya

Tumhare Baad Safar Mein Koi Maza Na Raha
Har Aik Mod Pe Socha Keh Laot Jaein Kiya

Hamare Chehre K Daghon Pe Tanz Karte Ho
Hamare Paas Bhi Hai Aaina Dekhaein Kiya

Na Thees Hai,Nakhasak Hai,Na Aah Hai Dil Mein
Chali Gaein Hain Hawaili Se Khadmaaein Kiya

Humein Libaas Bhi Sada Pasand Hai "Nakhat"
Jo Dil Hi Bujh Gaya Bahir Se Jagmagaein Kiya
Poetess: Dr Naseem Nikhat

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo