December k dinon mein tum ne
Mujh se yeh kaha tha na
Mujh se yeh kaha tha na
Keh tanha hon magar phir bhi
Tumhara saath main don ga
Tumhara saath main don ga
Apnay haath aankhon par meri
Rakh kar kaha tha na
Rakh kar kaha tha na
Bhari duniya se takra k
Tumhara saath main don ga
Tumhara saath main don ga
Mujhe aaghosh mein le kar
Yeh aksar mujh se kehty thy
Yeh aksar mujh se kehty thy
Koi mushkil jo aye gi
Tumhara saath main don ga
Tumhara saath main don ga
Na badlon ga kabhi jesay
Mosam yeh badalte hain
Mosam yeh badalte hain
Badalte mosmon mein bhi
Tumhara saath main don ga
Tumhara saath main don ga
Tumhari inhi baton se
Bohat majboor Ho kar main
Bohat majboor Ho kar main
Sab k samne tum se
Yeh kehna chahti hon
Yeh kehna chahti hon
Tumhare ehad-o-paiman se
To yeh mosam hi achay hain
To yeh mosam hi achay hain
Ehad kar ke nahi laute
December laut aya hai
December laut aya hai
No comments:
Post a Comment