Badal'te Waqt Ka Ik Silsilaa Sa Lagta Hai Ki Jab Bhi Dekho Use Dusra Sa Lagta Hai




"Manzar Bhopali"
(Syed Ali Raza)
29 Dec 1959
Bhopal, M.P. India.
Pen name-Manzar



Badal'te Waqt Ka Ik Silsilaa Sa Lagta Hai
Ki Jab Bhi Dekho Use Dusra Sa Lagta Hai
Tumhara Husn Kisi Aadmi Ka Husn Nahi
Kisi Buzarg Ki Sachchi Dua Sa Lagta Hai
Teri Nigaah Ko Tameez Rang-o-Noor Kahan
Mujhe To Khoon Bhi Rang-e-Hina Sa Lagta Hai
Damaagh-o-Dil Hon Agar Mutmayin To Chhaaon Hai
Dhoop Thapeda Loo Ka Bhi Thandi Hawa Sa Lagta Hai
mutmayin = content/satisfied loo = hot summer breeze
Wo Chhat Pe Aa Gaya Betaab Ho ke Aakhir
Khuda Bhi Aaj Shareek-e-Dua Sa Lagta Hai
Tumhara Haath Jo Aaya Hai Haath Mein
mere Ab Aitabaar Ka Mausam Hara Sa Lagata Hai
Nikal Ke Dekho Kabhi Nafaraton Ke Pinjare Se
Tamaam Shahar Ka "Manzar" Khula Sa Lagta Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo