Koi dhundla sa ik chehra meri aankhon men rehta hai Koi bhatka sa ik Jugno meray Khawabon men rehta hai




Koi dhundla sa ik chehra meri aankhon men rehta hai
Koi bhatka sa ik Jugno meray Khawabon men rehta hai
IK maanoos si aawaaz mujhay sonay nahin deti
Koi uljja sa ik jumla meri yaadon men rehta hai
Hai kis kay shabnami aanchal ki Khusbo ab talk mujh mein
Koi ehsaas mehka sa meri saanson men rehta hai
Mujhay khud par nahin qaabo na main kuch bol sakta hoon
Asar yeh kis kay lafzon ka meri baaton men rehta hai
December ki khunk raaten mujh ko be'chain rakhti hain
Lams ik haath ka ab tak meri sochon men rehta hai
Hai dil bhi muztarib ehsaas bhi sochon ki Uljhan bhi
Yeh kis ki aankh ka Aansoo meri aankhon men rehta hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo