Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney ? Ham Karein Toh Dehshat-Gard, Tum Karo To Deevaaney



 اتنے مُختلف کیوں ھیں فیصلوں کے پیمانے ؟
ھم کریں تو دھشت گرد ! تُم کرو تو دیوانے

تُم تو خون کی ھولی کھیل کر بھی ھو معصُوم
قتل بھی کیے تُم نے، جُرم بھی نہیں مانے

اس لیے بنایا ھے گھر کے پاس قبرستان
روز جانا پڑتا ھے کتنی لاشیں دفنانے

ایک قتل کرتا ھے، ایک قتل ھوتا ھے
واقعہ بس اتنا ھے، باقی سب خُدا جانے

ایک دن تو آئیں گے سب کے سامنے فارس
ظلم کے سبھی قِصّے، صبر کے سب افسانے

رحمان فارس

Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney ?
Ham Karein Toh Dehshat-Gard, Tum Karo To Deevaaney

Tum Toh Khoon Ki Holi Khail Kar Bhi Ho Maasoom
Qatal Bhi Kiey Tum Ne, Jurm Bhi Nahin Maaney

Is Liey Banaaya Hai Ghar Ke Paas Qabristan
Roz Jaana Parta Hai Kitni Laashein Dafnaaney

Aik Qatal Karta Hai, Aik Qatal Hota Hai
Waaqia Bas Itna Hai, Baaqi Sab Khuda Jaaney

Aik Din Toh Aaein Gey Sab K Saamney, Faris !
Zulm Ke Sabhi Qissey, Sabar Ke Sab Afsaaney

Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha