Iss Kari Dhoop Mein Jalte Hoe Paon Ki Tarah Tu Kisi Aur Ke Aangan Mein Hai Chaoun Ki Tarah



اس کڑی دھوپ میں جلتے ہوئے پاؤں کی طرح
تو کسی اور کے آنگن میں ہے چھاؤں کی طرح

تو تو واقف ہے میرے جذبوں کی سچائی سے
پھر کیوں خاموش ہے پتھر کے خداؤں کی طرح

میں تو خوشبو کی طرح ساتھ رہا ہوں تیرے
تو بھٹکتا رہا بے چین ہواؤں کی طرح

وہ جو برباد ہوئے تھے وہی بدنام ہوئے
تم تو معصوم رہے اپنی اداؤں کی طرح

غم تو یہ ہے کہ ہمیں کوئی خوشی راس نہیں
زندگی کاٹ رہے ہیں ہم سزاؤں کی طرح

Iss Kari Dhoop Mein Jalte Hoe Paon Ki Tarah
Tu Kisi Aur Ke Aangan Mein Hai Chaoun Ki Tarah

Tu Tou Waqif Hai Mere Jazbon Ki Sachhaai Se
Phir Kion Khamosh Hai Pathar Ke Khadaoun Ki Tarah

Main Tou Khushbo Ki Tarah Saath Raha Hon Tere
Tu Bhatakta Raha Be-Chain Hawaoun Ki Tarah

Woh Jo Barbad Hoe Thay Wahi Badnaam Hoe
Tum Tou Maasoom Rahe Apni Adaoun Ki Tarah

Gham Tou Ye Hai Keh Hamein Koi Khushi Raas Nahi
Zindagi Kaat Rahe Hain Hum Sazaoun Ki Tarah

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo