Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jata Hai Keh Jis Tarah Koi Lehja Badalta Jata Hai



وہ بات بات میں اتنا بدلتا جاتا ہے
کہ جس طرح کوئی لہجہ بدلتا جاتا ہے

یہ آرزو تھی کہ ہم اس کے ساتھ ساتھ چلیں
مگر وہ شخص تو رستہ بدلتا جاتا ہے

رتیں وصال کی اب خواب ہونے والی ہیں
کہ اس کی بات کا لہجہ بدلتا جاتا ہے

رہا جو دھوپ میں سر پر مرے وہی آنچل
ہوا چلی ہے تو کتنا بدلتا جاتا ہے

وہ بات کر جسے دنیا بھی معتبر سمجھے
تجھے خبر ہے زمانہ بدلتا جاتا ہے

 نوشی گیلانی
Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jata Hai
Keh Jis Tarah Koi Lehja Badalta Jata Hai

Ye Aarzoo Thi Keh Hum Uss Ke Saath Saath Chalein
Magar Woh Shaks Tou Rasta Badalta Jata Hai

Rutein Wisal Ki Ab Khuwaab Hone Wali Hain
Keh Uss Ki Baat Ka Lehja Badalta Jata Hai

Raha Jo Dhoop Mein Sar Par Mere Wahi Aanchal
Hawa Chali Hai Tou Kitna Badalta Jata Hai

Woh Baat Kar Jise Dunya Bhi Mua'atabar Samjhe
Tujhe Khabar Hai Zamana Badalta Jata Hai

Noshi Gilani

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo