Ek khushboo mehakti rahi raat bhar Ek chudi khanakti rahi raat bhar



Ek khushboo mehakti rahi raat bhar
Ek chudi khanakti rahi raat bhar
Rang mausam ka badla achaanak jahaan
Barq thi jo chamakti rahi raat bhar
Kuch hawaaon ki raftaar bhi tez thi
Kashti-e-dil bhatakti rahi raat bhar

Haal-e-dil poochh baithhe woh ek baar jab
Ik masarrat jhalakti rahi raat bhar

Bhar gayi hai khushi daaman-e-'Noor' mey
Ik kahaani si chalti rahi raat bhar

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo