Aisa hai keh sab khawab musalsal nahin hoty Jo aaj to hoty hein magar kal nahin hoty



Aisa hai keh sab khawab musalsal nahin hoty
Jo aaj to hoty hein magar kal nahin hoty

Andar ki fizaon ke karishmy bhi ajab hein
Meenh toot ke barsy bhi to badal nahin hoty

Kuch mushkalen aisi hein keh asan nahin hoti
Kuch aisy moaamy hein keh kabhi hal nahin hoty


Shaistagi gham ke sabab aankhon ke sehra
Namnak to ho jaty hein jal thal nahin hoty


Kesy hi tlatam hon magar quzam-e-jan mein
Kuch yaad jazeery hein keh ojhal nahin hoty


Sab khawahishen poori hon aisa nahin hai
Jaisy kai ashaar mukamal nahin hoty

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo