Jaga Saky Na Tere Lab Lakeer Aisi Thi Humare Bakht Ki Rekha Bhi MEER Aisi Thi



جگا سکے نہ ترے لب لکیر ایسی تھی
ہمارے بخت کی ریکھا بھی میرؔ ایسی تھی
Jaga Saky Na Tere Lab Lakeer Aisi Thi
Humare Bakht Ki Rekha Bhi MEER Aisi Thi

یہ ہاتھ چومے گئے پھر بھی بے گلاب رہے
جو رت بھی آئی خزاں کی سفیر ایسی تھی
Ye Haath Chomay Gaye Phir Bhi Be-Gulaab Rahay
Jo Rut Bhi Aai Khizaan Ki Safeer Aisi Thi

وہ میرے پاؤں کو چھونے جھکا تھا جس لمحے
جو مانگتا اسے دیتی امیر ایسی تھی
Woh Mere Pavn Ko Chhonay Jhuka Tha Jis Lamhay
Jo Mangta Ussay Deti Ameer Aisi Thi

شہادتیں مرے حق میں تمام جاتی تھیں
مگر خموش تھے منصف نظیر ایسی تھی
Shahadatein Mere Haq Mein Tamaam Jati Thein
Magar Khamosh Thay Munsif Nazeer Aisi Thi

کتر کے جال بھی صیاد کی رضا کے بغیر
تمام عمر نہ اڑتی اسیر ایسی تھی
Kutar Ke Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Umar Na Udti Aaseer Aisi Thi

پھر اس کے بعد نہ دیکھے وصال کے موسم
جدائیوں کی گھڑی چشم گیر ایسی تھی
Phir Uss Ke Baad Na Dekhay Wisaal Ke Mousam
Judaiyon Ki Ghadi Chishm-Geer Aisi Thi

بس اک نگاہ مجھے دیکھتا چلا جاتا
اس آدمی کی محبت فقیر ایسی تھی
Bas Ik Nigaah Mujhe Dekhta Chala Jata
Uss Aadmi Ki Muhabbat Faqeer Aisi Thi

ردا کے ساتھ لٹیرے کو زاد رہ بھی دیا
تری فراخ دلی میرے ویر ایسی تھی
Rida Ke Saath Lutere Ko Zaad e Raah Bhi Diya
Teri Farakh-Dili Mere Weer Aisi Thi

کبھی نہ چاہنے والوں کا خوں بہا مانگا
نگار شہر سخن بے ضمیر ایسی تھی
Kabhi Na Chahnay Walo Ka Khoon Baha Manga
Nigaar e Shehar Be-Zameer Aisi Thi

پروین شاکر
Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo