Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Lekhna Hai Ta'abeer Ki Soorat Deni Hai



کچھ خواب ہیں جن کو لکھنا ہے
تعبیر کی صورت دینی ہے
کچھ لوگ ہیں اجڑے دل والے
جنہیں اپنی محبت دینی ہے
کچھ پھول ہیں جن کو چننا ہے
اور ہار کی صورت دینی ہے
کچھ اپنی نیندیں باقی ہیں
جنہیں بانٹنا ہے کچھ لوگوں میں
ان کو بھی تو راحت دینی ہے
اے عمر ِ رواں
ذرا آہستہ چل
ابھی خاصا قرض چکانا ہے
Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Lekhna Hai
Ta'abeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Log Hain Ujdey Dil Wale
Jinhein Apni Muhabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jin Ko Chun'na Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Kuch Apni Neendein Baqi Hain
Jinhein Bantna Hai Kuch Logo Mein
Unko Bhi Tou Rahat Deni Hai
Aey Umar e Rawaan
Zara Aahista Chal
Abhi Khaasa Qarz Chukana Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo