Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahi Barha Main "Aap" , Woh "Janaab " Se Aagay Nahi Barha



قصہّ ابھی حجاب سے آگے نہیں بڑھا
میں "آپ"، وہ "جناب" سے آگے نہیں بڑھا
Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahi Barha
Main "Aap" , Woh "Janaab " Se Aagay Nahi Barha
 
مّدت ہوئی کتاب ِمحبت شروع کیے
لیکن میں پہلے باب سے آگے نہیں بڑھا
 Muddat Hoi Kitaab e Muhabbat Shuro Kiye
Lekin Main Pehle Baab Se Aagay Nahi Gaya

لمبی مُسافتّیں ہیں مگر اس سوار کا
پاؤں ابھی رکاب سے آگے نہیں بڑھا
Lambi MusaFatein Hain Magar Iss Sawaar Ka
Pavn Abhi Rakaab Se Aagay Nahi Barha
 
طول ِکلام کے لیے میں نے کیے سوال
وہ مختصر جواب سے آگے نہیں بڑھا
Tool e  Kalaam Ke Liye Main Ne Kiye Sawaal
Woh Mukhtasar Jawaab Se Aagay Nahi Barha

رخُسار کا پتہ نہیں، آنکھیں تو خوب ہیں
دیدار ابھی نقاب سے آگے نہیں بڑھا
Rukhsaar Ka Pata Nahi , Aankhein Tou Khoob Hain 
Deedaar Abhi Naqaab Se Aagay Nahi Barha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo