Agar bazm-e-insaan mein aurat na hoti ! Khayaalon ki rangeen jannat na hoti !



Agar bazm-e-insaan mein aurat na hoti !
Khayaalon ki rangeen jannat na hoti !
Sitaaron ke dilkash fasaane na hote !
Bahaaron ki naazuk haqeekat na hoti !
Jabeenon pe noor-e-masarrat na khilta !
Nigaahon mein shaan-e-murawwat na hoti !
Ghataon ki aamaad ko saawan taraste !
Fizaaon mein behki baghaawat na hoti !
Fakiron ko irfaan-e-hasti na milti !
Ataa zaahidon ko ibaadat na hoti !
Musaafir sada manzilon pe bahakte !
Safeenon ko sahil ki qurbat na hoti !
Har ek phool ka rang feeka sa rehta !
Naseem-e-bahaaran mein nikhat na hoti !
Khudaayi ka insaaf khaamosh rehta !
Suna hai kisi ki shifa'at na hoti !!

अगर बज़्म-ए-इंसाँ में औरत ना होती !
ख़यालों की रंगीन जन्नत ना होती !
सितारों के दिलकश फ़साने ना होते !
बहारों की नाजुक हक़ीक़त ना होती !
जबीनों पे नूर-ए-मसरर्रत ना खिलता !
निगाहों में शान-ए-मुरव्वत ना होती !
घटाओं की आमाद को सावन तराशते !
फ़िज़ाओं में बेहकी बग़ावत ना होती !
फकीरों को इरफान-ए-हस्ती ना मिलती !
अता जाहीदो को इबादत ना होती !
मुसाफिर सदा मंज़िलों पे बहकते !
सफीनों को साहिल की क़ुरबत ना होती !
हर एक फूल का रंग फीका सा रहता !
नसीम-ए-बहारां में निखत ना होती !
खुदाई का इन्साफ खामोश रहता !
सुना है किसी की शिफ़ाअत ना होती !!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo