Abhi to raat ki dulhan sajegi chaand taaron se, damakte maah-paaron se Abhi to athkheliyaan hongi saba ki lala-zaaron se, gulistaan mein bahaaron se



ILTIJAA
Abhi to raat ki dulhan sajegi chaand taaron se, damakte maah-paaron se
Abhi to athkheliyaan hongi saba ki lala-zaaron se, gulistaan mein bahaaron se

Abhi har shay adhoori hai, abhi to har baat baaqi hai
Kahaan jaate ho tum thehro, abhi kuch raat baaqi hai
Abhi to chaandni chatkegi, zarre jagmagaayenge, jawaan jalwey lutaayenge
Abhi shabnam se ho ho ke ghunche muskuraayenge, nazaare gungunaayenge

Abhi to dilrubaai ki har ik saughaat baaqi hai
Kahaan jaate ho tum thehro, abhi kuch raat baaqi hai
Qayaamat mujhpe jo guzri hai wo mujhko btaani hai, ajab gham ki kahaani hai
Wahi gham ki kahaani to mujhe tumko sunaani hai, lagi dil ki bujhaani hai

Abhi to qissa-e-bedardi-e-halaat baaqi hai
Kahaan jaate ho tum thehro, abhi kuch raat baaqi hai
Tumhaara raasta takte huye guzri hai jo dil par, bayaan ho bhi to kyuun-kar
Meri palkon pe kitni baar deepak jal gaye bujhkar, tumhaari yaad mein aksar

Abhi sheeshe nahin chalke abhi barsaat baaqi hai
Kahaan jaate ho tum thehro, abhi kuch raat baaqi hai
Chale jaaoge tum to dil ke weeraani ka kya hoga, is afsaane ka kya hoga
Na hogi shammaa mehfil mein to parwaane ka kya hoga, keh deewaane ka kya hoga

Abhi afsaana-e-barbaadi-e-jazbaat baaqi hai
Kahaan jaate ho tum thehro, abhi kuch raat baaqi hai
Rahi Shahabi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo