Naqsh hai Badal ka, bijli ki chamak is mein bhi hai Sar jhuka kr aina dekho falak is mein bhi hai



تازہ غزل۔۔۔۔ تمام دوستوں کے نام
 ❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

نقش ہے بادل کا٫ بجلی کی چمک اٍس میں بھی ہے
سر جھکا کر آئنہ دیکھو فلک اٍس میں بھی ہے
Naqsh hai Badal ka, bijli ki chamak is mein bhi hai
Sar jhuka kr aina dekho falak is mein bhi hai


میں یونہی تکتا نہیں رہتا کنول کے پھول کو
تیرے خال و خد کی ہلکی سی جھلک اٍس میں بھی ہے
Mein yunhi takta nhi rehta kanwal k phool ko
Tere khaal o khad ki halki si jhalak is mein bhi hai


شاخ کے بوسے لیے جاتی ہیں لہریں جھیل کی
کچھ اچھال اًن میں بھی ہے٫ تھوڑی لچک اس میں بھی ہے
Shaakh k bosey liey jati heiN lehreN jheel ki
Kuch uchhaal un meiN bhi hai thodi lachak is mein bhi hai


دل سے گزرے کرب کے واپس نہ آنے پر کھلا
ٹوٹی پھوٹی ہی سہی لیکن سڑک اٍس میں بھی ہے
Dil se guzrey kerb k wapas na aaney pr khula
Tooti phooti hi sahi lakin sadak is mein bhi hai


آپ کو سًن کر کہیں ”لاریب“ ٫ دل ہو یا دماغ
سچ اگر پوچھیں تو اًس میں بھی ہے شک اٍس میں بھی ہے
Aap ko sun kr kaheN Laraib, dil ho ya dimagh
Such agar poocheN to us mein bhi hai shak is mein bhi hai


کیوں غضب ڈھاتی ہے ساحل پر نہاتی سانولی
جس قدر حل ہے سمندر میں نمک٫ اٍس میں بھی ہے
Kyu ghazab dhaati hai sahil pr nahati sanwli
Jis qadar hal hai sumandar mein namak is mein bhi hai


افضل خان
Afzal Khan


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo