Aaj Malbos Mein Hai Kaisi Thakan Ki Khushbo Raat Bhar Jagi Hoi Jaise Dulhan Ki Khushbo



آج ملبوس میں ہے کیسى تھکن کى خوشبو
رات بھرجاگى ہوئى جیسے دولہن کی خوشبو
Aaj Malbos Mein Hai Kaisi Thakan Ki Khushbo
Raat Bhar Jagi Hoi Jaise Dulhan Ki Khushbo

پیرہن میرا مگر اس کے بدن کی خوشبو
اس کی ترتیب ہے ایک ایک شکن کی خوشبو
Pairhan Mera Magar Uss Ke Badan Ki Khushbo
Iss Ki Tarteeb Hai Aik Aik Shikan Ki Khushbo

موجہ گل کو ابھى اذن تکلم نہ ملے
پاس اتى ہے کسى نرم سخن کی خوشبو
Mojah e Gul Ko Abhi Izn e Takalam Na Milay
Paas Aati Hai Kisi Narm Sukhan Ki Khushbo

قامت شیر کی زیبائى کا عالم مت پوچھ
مہرباں جس سے ہے اس سر و بدن کی خوشبو
Qamat e Shair Ki Zaibaai Ka Aalam Mat Pooch
Mehruban Jis Se Hai Uss Sar o Badan Ki Khushbo

پروین شاکر
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo