Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagey Mein Hum Prero Kar Tere Khayaal Ke Phool Tark e Ulfat Ke Dasht Se Chun Kar Aashnaai Ke Maah o Saal Ke Phool Teri Dahleez Par Saja Aaye Phir Teri Yaad Par Chadha Aaye Bandh Kar Aarzoo Ke Palley Mein HIJAR Ki Raakh Aur WISAL Ke Phool




(فیض احمد فیض۔ شعری مجموعے " غبارِ ایّام" سے منتخب نظم "ہجر کی راکھ اور وصال کے پھُول)



آج پھر درد و غم کے دھاگے میں
ہم پرو کر ترے خیال کے پھُول
ترکِ اُلفت کے دَشت سے چُن کر
آشنائی کے ماہ و سال کے پھُول
تیری دہلیز پر سجا آئے
پھِر تری یاد پر چڑھا آئے
باندھ کر آرزو کے پلّے میں
ہجر کی راکھ اور وصال کے پھُول

Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagey Mein
Hum Prero Kar Tere Khayaal Ke Phool
Tark e Ulfat Ke Dasht Se Chun Kar
Aashnaai Ke Maah o Saal Ke Phool
Teri Dahleez Par Saja Aaye
Phir Teri Yaad Par Chadha Aaye
Bandh Kar Aarzoo Ke Palley Mein
HIJAR Ki Raakh Aur WISAL Ke Phool


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo