Ab Tak Yahi Suna Tha Keh Bazar Bik Gaye Uss Ke Gali Gaye Tou Khareedar Bik Gaye



اب تک یہی سنا تھا کہ بازار بک گئے
اس کی گلی گئے تو خریدار بک گئے
Ab Tak Yahi Suna Tha Keh Bazar Bik Gaye
Uss Ke Gali Gaye Tou Khareedar Bik Gaye

لگنے لگیں ہیں مجھ سے بھی ناقص کی بولیاں
یعنی جہاں کے سارے ہی شہکار بک گئے
Lagne LageinHain Mujh Se Bhi Na-Qis Ki Boliyan
Yani Jahan Ke Sare Hi Shahkaar Bik Gaye

جس نے ہمیں خریدا منافع کما لیا
اپنا ہے یہ کمال کہ ہر بار بک گئے
Jis Ne Humain Khareeda Manafa Kama  Liya 
Apna Hai Ye Kamaal Keh Har Baar Bik Gaye

انجام یہ نہیں تھا کہانی کا اصل میں
کیا کیجئے کہ بیچ میں کردار بک گئے
Anjaam Ye Nahi Tha Kahani Ka Asal Mein
Kia Kijiye Keh Beech Mein Kirdaar Bik Gaye

جنگل کی دھوپ میں بھی نہ سایہ ہمیں ملا
قیمت لگی تو دیکھئے اشجار بک گئے
Jangal Ki Dhoop Mein Bhi Na Saya Humain Mila
Qeemat Lagi Tou Dekhiye Ashjaar Bik Gaye

اتنا تو فرق ہے چلو اپنوں میں غیر میں
اپنے تھے شرم سار، مگر یار بک گئے
Itna Tou Farq Hai Chalo Apno Mein Ghair Mein
Apne Thay Sharamsaar Magar Yaar Bik Gaye

مت پوچھ ان کا بکتے محبت کے مول جو
روئے تمام عمر کہ بے کار بک گئے
Mat Pooch Unka Biktay Muhabbat Ke Mol Jo
Roye Tamam Umar Keh Be-Kaar Bik Gaye

کیجے شکایتیں بھلا اب کس کے روبرو
قاضی بکا یہاں، یہاں دربار بک گئے
Kijiye Shikayatein Bhala Ab Kis Ke Ro-Baro
Qazi Bika Yahan , Yahan Darbaar Bik Gaye

تلوار کی جگہ وہاں بنتی ہیں چوڑیاں
جس جس قبیلے کے یہاں سردار بک گئے
Tawaar Ki Jagah Wahan Banti Hain Choriyan
Jis Jis Qabeelay Ke Yahan Sardar Bik Gaye

لازم ہے رکھئے اپنی نظر آستین پر
سننے میں آ رہا ہے نمک خوار بک گئے
Lazim Hai Rakhiye Apni Nazar Aasteen Par
Sun'nay Mein Aa Raha Hai Namak-Khuwar Bik Gaye

ابرک وفا کشی کا کوئی بیج تجھ میں ہے
یونہی نہیں ہیں سارے طلب گار بک گئے
ABRAK Wafa-Kashi Ka Koi Beej Tujh Mein Hai
Yunhi Nahi Hain Sare Talab-Gaar Bik Gaye

 اتباف ابرک
Atbaf Abrak


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo