Abhi Iss Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal Ki Palkein Sanwar Loon Mera Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aainey Mein Utar Loon



ابھی اس طرف نہ نگاہ کر میں غزل کی پلکیں سنوار لوں
مرا لفظ لفظ ہو آئینہ تجھے آئنے میں اتار لوں 
 Abhi Iss Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal Ki Palkein Sanwar Loon
Mera Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aainey Mein Utar Loon

میں تمام دن کا تھکا ہوا تو تمام شب کا جگا ہوا
ذرا ٹھہر جا اسی موڑ پر تیرے ساتھ شام گزار لوں 
 Main Tamam Din Ka Thaka Hoa Tou Tamam Shab Ka Jaga Hoa
Zara Theher Ja Issi Morr Par Tere Saath Shaam Guzar Loon

اگر آسماں کی نمائشوں میں مجھے بھی اذن قیام ہو
تو میں موتیوں کی دکان سے تری بالیاں ترے ہار لوں 
Agar Aasman Ki Numaishon Mein Mujhe Bhi Izn Qiyam Ho
Tou Main Motiyon Ki Dukan Se Teri Baliyan Tere Haar Loon
 
کہیں اور بانٹ دے شہرتیں کہیں اور بخش دے عزتیں
مرے پاس ہے مرا آئینہ میں کبھی نہ گرد و غبار لوں 
Kahein Aur Bant DeyShuhratein Kahein Aur Bakhash Dey Izzatein
Mere Paas Hai Mera Aaina Main Kabhi Na Gard o Ghubar Loon
 
کئی اجنبی تری راہ میں مرے پاس سے یوں گزر گئے
جنہیں دیکھ کر یہ تڑپ ہوئی ترا نام لے کے پکار لوں 
Kai Ajnabi Teri Raah Mein Mere Paas Se Yun Guzar Gaye
Jinhein Dekh Kar Ye Tadap Hoi Tera Nam Le Ke Pukar Loon
 
بشیر بدر
Bashir Badar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo