Azeeyat Se Buhat Ye Zehn o Dil Apna Guzarta Hai Ana Ko Chand Sikkon Ke Liye Jab Jhukna Padta Hai



اذیت سے بہت یہ ذہن و دل اپنا گزرتا ہے
انا کو چند سکوں کے لئے جب جھکنا پڑتا ہے
Azeeyat Se Buhat Ye Zehn o Dil Apna Guzarta Hai
Ana Ko Chand Sikkon Ke Liye Jab Jhukna Padta Hai
 
یہ نوکر پیشہ لوگوں کا بھی عالم کربلا کا ہے
سلجھتا ہے اگر اک مسئلہ تو اک الجھتا ہے
 Ye Nokar-Paisha Logo Ka Bhi Aalam Karbala Ka Hai
Sulajhta Hai Agar Ik Masla To Ik Ulajhta Hai

تمنائیں بھی یکساں خون بھی قسمت جدا کیوں ہے
یہ کس نے آدمی کو کمتر وبرترمیں بانٹا ہے
 Tamannaein Bhi Yaksaan Khoon Bhi Qismat Juda Kion Hai
Ye Kis Ne Aadmi Ko Kamtar o Bartar Mein Banta Hai

امربیل ایسا اس کا پیار لپٹا ہے مجھے گویا
میں اس میں جی رہی ہوں اور وہ بس مجھ میں زندہ ہے
 Amarbail Aisa Usska Piyar Lepta Hai Mujhe Goya
Main Uss Mein Jee Rahi Hoon Aur Woh Bas Mujh Mein Zinda Hai

ہماری دشمنی ہے جانیے سارے زمانے سے
کہ بس اک شخص کی خاطرجہاں سے بیر باندھا ہے
 Humari Dushmani Hai Janiye Sare Zamane Se
Keh Bas Ik Shakhas Ki Khatir Jahan Se Bair Bandha Hai

جو اک بچے کو دیکھوں، دیکھتا ہے دوسرا مجھ کو
میری مجبوریوں نے فرق بچوں میں بھی رکھا ہے
Jo Ik Bachey Ko Dekhon , Dekhta Hai Dusra Mujh Ko
Meri Majboorion Ne Farq Bachon Mein Bhi Rakha Hai

کوئی دکھ بانٹتا ہے اور کسی کو سہنا پڑتے ہیں
یہ انساں اپنی فطرت میں بہت ہی مختلف سا ہے
Koi Dukh Bant'ta Hai Aur Kisi Ko Sehna Padte Hain
Ye Insan Apni Fitrat Mein Buhat Hi Mukhtalif Sa Hai

کوئی بچہ پجارو میں ،کوئی جاتا ہے پیدل ہی
خدایان ِعلوم وفن نے کیسا فرق رکھا ہے
Koi Bacha Pejaro Mein Koi Jata Hai Paidal Hi
Khudayan e Uloom o Fun Ne Kaisa Farq Rakha Hai

کبھی اپنی چھپائی ہی نہیں خامی کسی سے بھی
   عیاں ہے وہ سبھی جو زندگی نے مجھ کو بخشا ہے
Kabhi Apni Chupati Hi Nahi Khaami Kisi Se Bhi
Aayaan Hai Woh Sabhi Jo Zindagi Ne Mujh Ko Bakhsha Hai

اٹھا دیتے ہو آسانی سے انگلی اوروں کی جانب
کہو اپنے مقابل بھی ، کبھی آئینہ رکھا ہے
 Utha Detey Ho Aasani Se Ungli Auron Ki Janib
Kaho Apne Muqabil Bhi Kabhi Aaina Rakha Hai

بہت کھویا ہے خود کو،تجھ کو پالینے کی خواہش میں
تیری یادوں میں غافل ہو کہ یوں خود کو بھلایا ہے
Buhat Khoya Hai Khud Ko Tujh Ko Pa Laine Ki Khuhish Mein
Teri Yadon Mein Ghafil Ho Keh Youn Khud Ko Bhulaya Hai

لکھا ہے بس وہی میں نے ملی ہے جس میں سچائی
کہ آئینہ میری تحریر،عالم کی صدا کاہے
Lekha Hai Bas Wahi Main Ne Mili Hai Jis Mein Sachhai
Keh Aaina Meri Tehreer , Aalam Ki Sada Ka Hai

جو بچہ کھا رہا ہے روٹیاں کچرے سے چن چن کر
یہ حیرت ہے کہ مرتا کیوں نہیں وہ کیسے زندہ ہے
Jo Bacha Kha Raha Hai Rotiyan Kachre Se Chun Chun Kar
Ye Hairat Hai Keh Marta Kion Nahi Woh Kaise Zinda Hai

نہیں ہے مسئلہ یہ چندلوگوں کا فقط زیبی
یہ اجلے کالروں کا اجتماعی درد بنتا ہے
Nahi Hai Masla Ye Chand Logo Ka Faqat ZAIBI
Ye Ujlay Collaron Ka Ijtemaai Dard Banta Hai 

شاعرہ زیب النساء زیبی
Poetess:Zaib u Nissa Zaibi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo