Dil Mein Hai Uski Yaad Ki Khushboo B\si Hoi Kia Phool Tha Keh Shaakh e Zaman Se Utar Gaya



پروفیسر انور مسعود کا اپنی اہلیہ محترمہ کے لئے تازہ کلام




Dil Mein Hai Uski Yaad Ki Khushboo B\si Hoi
Kia Phool Tha Keh Shaakh e Zaman Se Utar Gaya

Lagta Hai Yun Chand Maheenon Ki Baat Thi
Pachpan Bars Ka Ahed e Rafaqat Guzar Gaya

Dunya Rawaan Dawaan Hai Agarche Ussi Tarah
Dil Mein Mufarqat Ka Woh Lamha Theher Gaya

QURAN Se Ussko Thi Woh Muhabbat Keh Ba-Yaqeen 
Uss Ka Jo Aakhirat Ka Safar Tha Sanwar Gaya

ANWAR Ne Jis Ghari Bhi SIDDEEQA ke Wastey
Dast e Dua Uthaya Tou Ashkon Se Bhar Gaya

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo