Eid Pheeki Lag Rahi Hai , Ishq Ki Taseer Bhej Aa Gale Mil Ya Libas e Eid Mein Tasweer Bhej



عید پھیکی لگ رھی ھے، عشق کی تاثیر بھیج
آ گلے مِل یا لباسِ عید میں تصویر بھیج
Eid Pheeki Lag Rahi Hai , Ishq Ki Taseer Bhej
Aa Gale Mil Ya Libas e Eid Mein Tasweer Bhej

تیری خُوشبو اور کھنَک مَیں خط سے کرلُوں گا کشید
چُوڑیوں والے حنائی ھاتھ کی تحریر بھیج
Teri Khushbo Aur Khanak Main Khat Se Kar Loon Ga Kasheed
Chorion Wale Hinaai Haath Ki Tahreer Bhej

دیکھ کر ویران گلیاں خوف آتا ھے مُجھے
اے خُدا ! کوئی گداگر یا کوئی رھگیر بھیج
Dekh Kar Weeran Galiyan Khaof Aata Hai Mujhe
Aey Khuda ! Koi Gadagar Ya Koi Rahgeer Bhej

میری آنکھوں کو نہ دے آدھی ادھوری بخشِشیں
خواب واپس چھین لے یا خواب کی تعبیر بھیج
Meri Aankhon Ko Na De Aadhi Adhori Bakhshish
Khuwaab Wapas Cheen Le Ya Khuwaab Ki Ta'abeer Bhej

جاں لبوں پر آگئی ھے آنسُوؤں کے قحط سے
آنکھ بُھوکی مر رھی ھے، غم کے شہدو شِیر بھیج
Jaan Labon Par Aa Gai Hai Aansoun Ke Qaht Se
Aankh Bhoki Mar Rahi Hai Gham Ke Shahd o Sheer Bhej

عید کا تُحفہ یہ کہہ کر اُس نے واپس کردیا
میرے پیروں کے لیے پائل نہیں، زنجیر بھیج
Eid Ka Tuhfa Ye Keh Kar Us Ne Wapas Kar Diya
Mere Pairon Ke Liye Paael Nahi , Zanjeer Bhej

تیری لکّھی قید سے باھر نکلنا ھے مُجھے
کاتبِ تقدیر ! ایسا کر، کوئی تدبیر بھیج
Teri Lekhi Qaid Se Bahir Nikalna Hai Mujhe
Kaatib e Taqdeer ! Aisa Kar , Koi Tadbeer Bhej

دُوسرے مصرعے کے گہرے راز کو فارس نہ کھول
اس غزل کو چُپکے چُپکے وادئ کشمیر بھیج
Dosre Misre Ke Gehre Raaz Ko FARIS Na Khol
Iss Ghazal Ko Chupke Chupke Wadi e Kashmir Bhej

رحمان فارس
Rehman Faris


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo