Hum Ne Hi Laotney Ka Irada Nahi Kia Ussne Bhi Bhool Jane Ka Wada Nahi Kia



پروین شاکر کی  ایک خوبصورت غزل

ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا
اسنے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا
Hum Ne Hi Laotney Ka Irada Nahi Kia
Ussne Bhi Bhool Jane Ka Wada Nahi Kia

دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشنِ طرب میں ہم
ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا
Dukh Udtey Nahi Kabhi Jishn e Tarab Mein Hum
Malboos Dil Ko Tan Ka Lubada Nahi Kia

جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود
سرزیرِبارِساغر و بادہ نہیں کیا
Jo Gham Mila Hai Bojh Uthaya Hai Uss Ka Khud
Sar Zer e Baar Saghar o Badah Nahi Kia

کارِ جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام
اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا
Kaar e Jahan Humain Bhi Buhat Thay Safar Ki Sham
Uss Ne Bhi Itefat Ziyada Nahi Kia

آمد پہ تیری عطر و چراغ وسبو نہ ہوں
اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا
Aamad Ye Teri Atir o Chiraagh o Sabo Na Hon
Itna Bhi Bood o Bash Ko Sada Nahi Kia

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo