In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain Mastaane hazaaron hain



In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se waabasta afsaane hazaaron hain
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri ruswa
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain Deewaane hazaaron hain
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain Maikhaane hazaaron hain
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke parwaane hazaaron hain
Parwaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se waabasta afsaane hazaaron hain


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo